Thursday, April 14, 2011

NARMADA KUND JHIRIYA

NARMADA KUND JHIRIYA
KHAIRA (JAIRAMNAGAR) BILASPUR, CHHATTISGARH, INDIA
Bahot pahle ki baat hai jab khaira gaav ke jamidar ki beti apne yaha kam karne wale ek garib ladke se prem karti thi . jab eish baat ka pata jamidar ko chala tab ushne us ladke ko maarne ka faishla kar dala aur ushe gaav se dur basti se bahar ek bade se maydan me lejakar ek gadhhe me daba diya. wo jo jamidar ki ladki thi wo apne premi ko khojte khojte waha aagayi aur apne premi ki mrit deh ko bahar nikal kar aas pas se lakdi ekatha kar uski chita jala kar ushi chita me swayam baith kar sati ho gayi chuki wo us ladke  ko apna pati manti thi. aur ushi jagah se ek shila ki prapti hui jise sati dai ke naam se jana jata hai.
   ek kahani aur hai gaav ki koi mahila amrkantak gai thi narmada maiya ke darsan ko tab uska charu wahi kahi gum ho gaya usane bahot dekh magar wo kahi nahi mili thak har kar wo wapas aagayi. gaav aane par maa ne sapne me use us patal tod jal ke shrot ke bare me bataya jo aaj bhi maa ke darbar me narmada kund ke naam se hai. ushi jhiriya ke kund me use wo charu mila jo ki narmada maiya ke kund athat amarkantak ke kund me gira tha maiya ne uske madhyam se sabhi ko yaha jhiriya me prasad swarup darsan diya hai.






     .....................................JAI SATI DAI........................................

Followers & Friend's